A BOOK TO SPEND TIME WITH

Achhi Betiyaan

۞
01

Nashir Ki Taraf Se Kuchh Aham Baatein

Nashir Ki Taraf Se Kuchh Aham Baatein Mukhtalaf Mamalik Se Kai Likhne Waale Humein Apna Sarmaya Irsaal Farma Rahe Hain Jinhein Hum Shaya Kar Rahe Hain, Hum Ye Batana Zaroori Samajhte Hain Ke Humari Shaya Karda Kitabo Ke Mundarijaat (Contents) Ki Zimmedari Hum Is Hadd Tak Lete Hain Ke Ye Sab Ahle Sunnat Wa Jama'at Se Hai Aur Ye Zaahir Bhi Hai Ke Har Likhari Ka Talluq Ahle Sunnat Se Hai, Dusri Janib Akabireene Ahle Sunnat Ki Jo Kitabein Shaya Ki Ja Rahi Hain To Un Ke Mutalliq Kuchh Kehne Ki Haajat Hi Nahin Phir Baat Aati Hai Lafzi Aur Imlai Ghalatiyo Ki To Jo Kitabein "Team Abde Mustafa Official" Ki Peshkash Hoti Hain Unke Liye Hum Zimmedar Hain Aur Wo Kitabein Jo Mukhtalaf Zaraaye Se Humein Mausool Hoti Hain, Un Mein Is Tarah Ki Ghalatiyo Ke Hawale Se Hum Bari Hain Ke Wahan Hum Har Har Lafz Ki Chhan Phatak Nahin Karte Aur Humara Kirdaar Bas Ek Nashir Ka Hota Hai Ye Bhi Mumkin Hai Ke Kai Kitabo Mein Aisi Baatein Bhi Ho'n Ke Jin Se Hum Ittefaq 3

Achhi Betiya’n Nahin Rakhte, Misaal Ke Taur Par Kisi Kitab Mein Koi Aisi Riwayat Bhi Ho Sakti Hai Ke Tehqeeq Se Jis Ka Jhoota Hona Ab Saabit Ho Chuka Hai Lekin Use Likhne Waale Ne Adame Tawajjo Ki Bina Par Naqal Kar Diya Ya Kisi Aur Wajah Se Wo Kitab Mein Aa Gai Jaisa Ke Ahle Ilm Par Makhfi Nahin Ke Kai Wujoohaat Ki Bina Par Aisa Hota Hai, To Jaisa Humne Arz Kiya Ke Agarche Use Hum Shaya Karte Hain Lekin Isse Ye Na Samjha Jaaye Ke Hum Usse Ittefaq Bhi Karte Hain Ek Misaal Aur Hum Ahle Sunnat Ke Mabain Ikhtelafi Masail Ki Pesh Karna Chahte Hain Ke Kai Masail Aise Hain Jin Mein Ulama -e- Ahle Sunnat Ka Ikhtelaf Hai Aur Kisi Ek Amal Ko Koi Haraam Kehta Hai To Dusra Uske Jawaz Ka Qaail Hai, Aise Mein Jab Hum Ek Nashir Ka Kirdaar Ada Kar Rahe Hain To Dono Ki Kitabo Ko Shaya Karna Humara Kaam Hai Lekin Humara Mauqif Kya Hai, Ye Ek Alag Baat Hai, Hum Fareeqain Ki Kitabo Ko Is Bunyad Par Shaya Kar Sakte Hain Ke Dono Ahle Sunnat Se Hain Aur Ye Ikhtelafaat Furooi Hain, Isi Tarah Humne Lafzi Aur Imlai Ghalatiyo Ka Zikr Kiya Tha Jis Mein Thodi Tafseel Ye Bhi Mulahiza 4

Achhi Betiya’n Farmayein Ke Kai Alfaaz Aise Hain Ke Jin Ke Talaffuz Aur Imla Mein Ikhtelaf Paaya Jaata Hai, Ab Yahan Bhi Kuchh Aisi Hi Soorat Banegi Ke Hum Agarche Kisi Ek Tariqe Ki Sihhat Ke Qaail Ho'n Lekin Uske Khilaf Bhi Humari Isha'at Mein Maujood Hoga, Is Farq Ko Bayaan Karna Zaroori Tha Taaki Qarayeen Mein Se Kisi Ko Shubha Na Rahe Team Abde Mustafa Official Ki Ilmi, Tehqeeqi Aur Islahi Kitabein Aur Risale Kai Marahil Se Guzarne Ke Baad Shaya Hote Hain Lekin Iske Bawajood In Mein Bhi Aisi Ghalatiyo Ka Paaya Jaana Mumkin Hai Lihaza Agar Aap Unhein Paayein To Humein Zaroor Batayein Taaki Uski Tashih Ki Ja Sake

Sabiya Virtual Publication
Powered By Abde Mustafa Official

5

Achhi Betiya’n

02

Qur'an

Qur'an Tarjuma E Kanzul Imaan : "Aur Jaan Rakho Ki Tumhare Maal Aur Tumhari Aulaad Sab Fitna Hai Aur ALLAH Ke Paas Bada Sawaab Hai".

03

Hadeese Paak

Hadeese Paak Hazrat Aboo Saed Khudri Raziyallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi E Kareem Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Shakhs Ki Teen Betiyan Ya Teen Bahnein Ho Ya Do Betiyan Ya Do Bahnein Ho, Aur Vah Unke Sath Bahut Achche Tareeqe Se Zindagi Guzaare (Yani Unke Jo Huqooq Shariyat Ne Muqarrar Farmaye Hain Vah Ada Kare, Unke Sath Ahsaan Aur Behtar Sulook Ka Maamla Kare, Unke Sath Achcha Bartao Kare) Aur Unke Huqooq Ki Adayegi Ke Silsile Mein ALLAH Ta'ala Se Darta Rahe To ALLAH Ta'ala Uski Badaulat Usko Jannat Mein Daakhil Farmayega. (Tirmizi Shareef)

6

Achhi Betiya’n

04

Deebacha

Deebacha Islam Ke Andar Aulaad Ki Taleem Wa Tarbiyat Par Jis Qadar Zor Diya Jata Hai Aur Cheezon Par Uske Madde Muqaabil Bahut Km Hai. Aulaad Ki Tarbiyat Aur Taleem Wa Ta'allum Ki Ahmiyat Par Hamare Bado Ne Bahut Saari Kitaabein Likhi Hain. Qur'an E Paak Ki Aayaat Aur Ahadees E Mubaraka Is Ziman Mein Beshumaar Hain Lekin Is Risaala Mein Ham Ne Khaas Kar Bachchiyon Ki Taleem Wa Tarbiyat Ke Liye Qur'an Aur Ahadees Ke Mafhoom Ke Sath Sath Pahle Aqal Wa Daanish Ke Qaul Ke Majmoo'a Ko Ikath'tha Karne Ki Koshish Kiya Hai Taaki Maa Baap Apni Bachchiyon Ki Achchi Tarbiyat Ka Khyaal Rakhein. Rahi Baat Bachchiyon Ki Azmat, Unki Qadar Wa Manzilat To Is Baat Ko Poori Duniya Jaanti Hai Ki Islam Se Pahle Inka Koi Maqaam Na Tha, Yah Sirf Mard Ke Liye Khilauna Samjhi Jati Thi, Aesh Wa Ishrat Ke Saaman Ke Alaawa Inka Koi Maqaam Wa Mansab Na Tha. Bachchiyan Zinda Dargoor Kar Di Jati Thi Aur Bahut Saare Mazaalim In Par Dhaaye Jate The. Na Baap Ki Nigaah Mein 7

Achhi Betiya’n Koi Azmat Thi Na Shohar Ki Nigaah Mein Koi Waq'at, Na Bhai Ke Yahan Koi Qadar Wa Manzilat Na Beta Ke Liye Yah Qaabile Ahtiraam. Magar ALLAH Ka Laakh Laakh Shukr Hai Hamare Nabi ﷺ Ki Aamad Aamad Ne Betiyon Ko Rahmat, Bahno Ko Barkat, Beeviyon Ko Nemat Aur Maa Ke Qadmon Tale Jannat Bataya Fir Inki Qadar Wa Manzilat Ka Kya Kahna Aaj Jis Ghar Mein Yah Na Ho Vah Ghar Be Raunaq Hai. Inki Qadar Wa Manzilat Ke Upar Sekdo Kitaabein Likhi Ja Chuki Hain. Magar Islam Ne Jo Maqaam Wa Mansab Ata Kiya Hai Na Pahle Kisi Ne Diya Na Aane Wale Waqt Mein Koi De Sakta Hai. Aaj Kal Aazaadi Ke Naam Par Inko Nanga Nachaana Aur Aesh Wa Ishrat Ke Naam Par Mahfooz Jagah Se Baahar Nikaal Kar Inko Apne Hawas Ka Shikaar Banaana Yah In Par Ahsaan Aur Inke Huqooq Ko Ada Karna Nahi Hai Balki Inhein Lobh Laalach Dekar Dhoka Dena Hai, Inhein Be Aabroo Karna Hai. Lihaza Betiyon Ko Chahiye Ki Waqt Aur Haalat Ko Pahchane Sath Hi Sath Dost Aur Dushman Ka Parakh Bhi Apne Andar Paida Karein Taaki Aapki Aabroo Aapka Waqaar Salaamat Rah 8

Achhi Betiya’n Sake. ALLAH Paak Apne Pyaare Habeeb یہللاُیتَعَالٰی یصَلَّی مَی یلَّوَسَی ہی ل وَاٰی عَلَیْہی Ke Sadqa Wa Tufail Qaum Ki Betiyon Ko Aqle Saleem Ata Farmaye, Aameen. Qaum Ki Shahzadiyon Ki Achchi Taleem Wa Tarbiyat Ki Garaz Se Is Mukhtasar Risaala Ko Murattab Kiya Gaya Hai. Ahle ilm Hazraat Ki Bargaah Mein Guzaarish Hai Ki Agar Kahi Kami Beshi Nazar Aaye To Khabar Karein Taaki Aainda Addition Mein Shukriya Ke Sath Islaah Ki Ja Sake. 'Zaruri Nahi Ki Beto Se Naam Raushan Ho Mere Nabi Ka Chala Khandaan Beti Se'

Muhammad Naseem Ahmad Qadri
Khaadim Madarsa Faizun Nabi Noori Markazi Darool Qiraat
Lohana, Janakpur Nepal

9

Achhi Betiya’n

05

Betiyon Ke Liye Zaruri Hidayat

Betiyon Ke Liye Zaruri Hidayat

06

• Haya

Haya : Chhoti Bachchiyon Ko Bachpan Se Haya Karna, Parde Mein Rahna Sikhayein, Agar Haya Ki Chaadar O'dh Li Ya Maa Baap Ne Udha Diya To Bachpan Se Budhaape Tak Har Haal Mein Uski Aabroo Aur Uska Waqaar Mahfooz Rahega Fir Duniya Ke Sath Sath Aakhirat Mein Bhi Kaamyabi Milegi Insha ALLAH. • Chhoti Bachchiyon Ko Bachpan Hi Se ALLAH Aur Uske Rasool ﷺ Ki Muhabbat Aur Uske Ahkaam Ki Pabandi Sikhayein. Amal Mein Kotaahi Par ALLAH Ta'ala Ka Khauf Dilayein. •

07

• Ibaadat

Ibaadat : Chhoti Bachchiyon Mein Ibaadat Wa Riyaazat Ka Shauq Paida Karna Chahiye Taaki Baalig Hone Par Ibaadat Wa Riyaazat Mein Kotaahi Na Karein. • Istiqaamat : Taaki Haalat Chahe Jaise Ho Lekin Vah Saabit Qadam Rahe Aur ALLAH 10

Achhi Betiya’n Ta'ala Aur Uske Rasool ﷺ Par Tavakkul (Bharosa) Karein. •

08

• Zohad Fidduniya

Zohad Fidduniya : Yani Duniya Se Doori Aur Uski Hirs Wa Hawas Se Dil Khaali Rahe Taaki Kisi Ke Laalach Mein Aa Kar Apni Zindagi Tabaah Wa Barbaad Na Karein. •

09

• Aakhirat Ki Muhabbat

Aakhirat Ki Muhabbat : Taaki Duniya Na Milne Par Gam Na Ho Aur Aakhirat Paane Ki Khwaahish Se ALLAH Ki Raza Par Raazi Rahe. •

10

• Khidmat

Khidmat : Chhoti Bachchiyon Mein Khidmat Ka Jazba Paida Karna Chahiye. Yoo To Fitri Taur Par Hota Hi Hai Bas Zara Aur Usko Badha De Taaki Uske Zariye Maa Baap Ke Yahan Aur Shaadi Ke Baad Shohar Ke Yahan Har Kisi Ke Dil Mein Apna Ghar Bana Sake. •

11

• Zid

Zid : Chhoti Bachchiyon Ko Bachpan Hi Se Zid Jaisi Khatarnaak Beemari Se Bachaye, Uske Andar Zid Hargiz Na Aane De Fir Use Sabr Wa Shukr Ke Sath Sath Khush Rahna Bhi Sikhayein.

11

Achhi Betiya’n
•

12

• Libaas

Libaas : Bachchiyon Ke Kapdo Mein Bhi Yah Khyaal Rakha Jaye Ki Jandar Ki Tasveer Na Ho, Gair Muslimon Ke Kisi She'aar Ki Tasveer Na Ho, Ladko Ke Mushaaba Ladki Ka Libaas Na Ho. Yaad Rahe Ki Bachchi Khud Mukallaf Nahi Lekin Walidain Mukallaf Hain. Lihaza Agar Vah Gair Islami Libaas Pahnate Hain To Unse ALLAH Ta'ala Is Ka Muakhaza Karega. Aaj Kal Bachchiyon Ko Filmo, Dramo Wale Libaas Pahnaye Jate Hain Jo Ki Samaaj Mein Bachchiyon Ke Sath Badhti Hue Ziyaadti Wa Darindagi Ke Asbaab Mein Se Ek Yah Bhi Shumaar Hota Hai. Jab Bachchiyon Mein Bachpan Hi Se Is Tarah Ke Libaas Ki Aadat Dilwayege To Badi Ho Kar Hargiz Mohazzab Libaas Pahanne Ko Taiyar Nahi Hongi. Agar Aap Ko Apni Bachchiyon Se Muhabbat Hai To Unko Bachpan Hi Se Magribi Libaas Se Door Rakhein. Dheele Dhaale Mohazzab Libaas Pahanne Ki Aadat Aur Km Se Km Sir Mukammal Dhaanpne Ki Aadat Daalein Taaki Bhediyon Ke Nigaahe Bad Aur Hawas Ka Shikaar Hone Se Bachi Rahein. Muhabbat Ka Yah Suboot Hargiz Nahi Ki Aap Beti Ki 12

Achhi Betiya’n Parwarish Na Mukammal Mahangi Libaas Pahna Kar Karte Rahein Aur Uski Yah Buri Aadat Baad Mein Aap Ko Mushkil Mein Daalne Ke Sath Sath Azaabe Qabr Wa Hashr Ka Sabab Bane. • Bachchiyon Ko Uriya (Adhoora) Libaas Aur Bepardagi Ke Khatraat Aur Uske Sabab Se Bachchiyon Ke Sath Hone Wali Ziyadatiyon Se Aagah Karte Rahein. • Vah Bachchiyan Jinki Umr 7 Saal Se Km Hoti Hai Unke Liye Parda Nahi Lekin Iska Matlab Yah Nahi Ki Unhein Nanga Rakha Jaye Ya Doosre Logon Ke Saamne Unhein Kapde Badalwaye Jayein Ya Gair Islami Libaas Ki Aadat Daali Jaye. Bachchi Mein Bachpan Hi Se Haya Paida Karne Ke Liye Use Na To Doosro Ke Saamne Kapde Badalwaye, Na Nahlaaye, Na Naaf Se Ghutno Tak Ke Hisse Mein Doosro Ke Saamne Dawa Wagairah Lagaye Taaki Use Yah Pata Ho Ki Is Jagah Ko Doosro Ke Saamne Nanga Karna Buri Baat Hai. • Daure Haazir Mein Bachchiyon Ko Fashion Karaana Ek Aam Riwaaz Ban Chuka Hai. Auraton Ne Fitno Ko Khud Itna Badha 13

Achhi Betiya’n Diya Hai Ki ALLAH Bachaye! Jab Maayein Beauty Parlour Se Makeup Karwa Kar Aati Hain To Vah Apni 7, 8 Saal Ki Bachchiyon Ko Bhi Vahi Makeup Karwati Hain Ya Bachchiyan Makeup Karaane Ki Zid Karti Hain Nateeja Yah Ki Paanch Paanch Chhah Chhah Saal Ki Bachchiyon Ke Sath Darindagi Ke Waqiyaat Runooma Ho Rahe Hain. Is Liye Fitno Se Bachne Ke Liye Bachchiyon Ko Saada Aur Mohazzab Libaas Pahnana Chahiye. •

13

• Khelkood

Khelkood : Maa Baap Ko Chahiye Ki Chhoti Bachchiyon Ke Khel Kood Mein Bhi Nigraani Karein. Kyunki Aaj Kal Filmo Dramo Ki Fahash Tasveerein Km Umr Ki Bachchiyon Mein Bhi Apna Asar Utaar Chuki Hain. Is Liye Jahan Tak Mumkin Ho Maa Baap Apni Bachchiyon Ko Filmo Dramo Se Door Rakhne Ke Sath Kharaab Sathiyon Ke Sath Khel Kood Ki Izazt Hargiz Na Dein. •

14

• Taleem

Taleem : Bachchiyon Ko Taleeme Qur'an Aur Adab Ke Sath Jahan Tak Ho Sake Achchi Se Achchi Deegar Taleem Bhi Dilwaye. Betiyon Ki Taleem Kis Qadar Zaruri Hai Bas Is Se Andaza 14

Achhi Betiya’n Lagaya Ja Sakta Hai Ki Ahle Aqal Kahte Hain Ki Agar Ek Aurat Taleem Yaafta Ho Gae To Goya Ki Ek Qabeela Taleem Yaafta Ho Gaya. Bachcho Ka Pahla Madarsa Wa School Maa Ki God Hai. Bachche Sab Kuch Yani Adab, Aqal, Tadabbur Sab Vahi Sikhte Hain. Lihaza Betiyon Ki Taleem Ka Khoob Khyaal Rakhein Magar Aisi Khalat Malat Jagah Se Mahfooz Rakhein Jahan Buraiyan Aam Ho. Aisi Taleem Kis Kaam Ki Jis Se Fitna Janam Le Aur Izzat Wa Aabroo Mahfooz Na Ho Aur Bachchiyan Kahi Munh Dikhaane Ke Qaabil Na Ho. Uriyaani, Fahashgoe, Badkaariyan Unke Zehan Wa Dimaag Mein Aaye To Aisi Taleem Aur Aisi Jagah Se Door Rakhein Warna Duniya Wa Aakhirat Donon Mein Maa Baap Ki Pakad Hogi Aur Sakht Se Sakht Azaab Mein Giraftaar Honge. •

15

• Gam Gusaari

Gam Gusaari : Chhoti Bachchiyon Ko Gam Gusaari Ki Taleem Dein Taaki Apne Maa Baap Aur Rishtedaron Ke Gam Ko Apna Gam Samjhe Aur Unke Gam Door Karne Aur Sabr Karne Mein Madadgaar Ban Kar Har Dil Azeez Rahe. • Maa Baap Ko Chahiye Ki Bachchiyon Ke 15

Achhi Betiya’n Saamne Kisi Tarah Ki Be Hayai Ki Baat Ya Kaam Na Kare. Maslan Fahashgoe (Buri Baat Bolna) Gaali Galoch, Jhagda Ladai Na Kare. Is Liye Ki Aisa Karne Se Aap Ki Tarbiyat Be Asar Hogi Aur Bachchiyon Mein Yah Aadat Ba Aasaani Jald Aa Jane Ka Khatra Hai. • Maa Baap Ko Chahiye Ki Apni Bachchiyon Ke Saamne Ek Doosre Ko Taana Na De Aur Ek Doosre Ko Zaleel Na Kare Balki Ek Doosre Ki Izzat Wa Qadar Kare Taaki Bachchiyon Ki Nigaah Mein Maa Baap Ki Azmat Barqaraar Rahe Aur Unki Tarbiyat Achchi Se Achchi Ho Sake. • Maa Baap Ko Chahiye Ki Apne Kirdaar Ko Bachchiyon Ke Saamne Bahut Paak Aur Suthra Rakhe Is Se Aap Ki Bachchiyon Ke Kirdaar Bhi Aala (Buland) Honge. •

16

• Ghareloo Kaam

Ghareloo Kaam : Maa Baap Ko Chahiye Ki Chhoti Bachchiyon Se Ghar Ke Kaamo Mein Madad Lein Aur Bachchiyon Ko Bhi Chahiye Ki Ghar Ke Kaamo Mein Apni Maa Ka Hath Bataye Taaki Ghareloo Kaam Kaaj Ki Aadat Bane. • Maa Baap Ki Baat Khoob Tavajjo Se Sune 16

Achhi Betiya’n Aur Kisi Qism Ka Maamla Ho To Maa Baap Ke Siwa Kisi Ko Maloom Na Hone De.

Badi Bachchiyon Ke Liye Khaas Hidayat :- • Badi Bachchiyan Apna Khoob Khyaal Rakhein Yani Saaf Suthri Rahein, Kapda Maila Kuchaila Na Pahnein, Baal Sanwaar Kar Rakhein Aur Deegar Tareeqe Se Bhi Safai Suthrai Ka Khyaal Rakhein. Is Se Maa Baap Khush Hote Hain Aur Rahan Sahan Mein Waqaar Paida Karein Is Se Khandaan Mein Aur Rishtedaron Mein Uski Izzat Badhti Hai Aur Shaadi Ke Paigaam Mein Bhi Dushwariyan Nahi Hoti Aur Har Izzatdaar Shakhs Aisi Bachchiyon Ko Apne Ghar Ki Zeenat Bana Kar Khushi Mahsoos Karte Hain. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Maa Baap Ke Sath Sirf Sach Bole. Jhoot Kabhi Na Bole Taaki Anjaane Mein Dosto Yani Saheliyon Ke Bahkaawe Mein Koi Galat Kaam Ho Jaye Ya Galat Baat Ho Jaye To Maa Baap Uska Behtar Hal Nikaal Sakein. Badi Bachchiyan Is Baat Ka Khaas Khyaal Rakhein Ki Maa Baap Se Badh Kar Duniya Mein Koi Bhi Aap Ka Sachcha Hamdard Nahi Ho Sakta Balki Tajarba Hai Ki 17

Achhi Betiya’n Maa Baap Beto Se Bhi Zyada Betiyon Ke Hamdard Hote Hain Lihaza Maamla Chahe Kuch Bhi Ho Aap Unke Sath Sirf Sach Bole Agarche Unki Taraf Se Galati Par Mamooli Saza Ka Bhi Imkaan Ho, Unki Bar Waqt Ki Tambeeh Duniya Ki Ruswai Aur Aakhirat Ke Azaab Se Bachayegi Insha ALLAH. • Badi Bachchiyan Maa Baap Ki Qadar Wa Izzat Aur Unki Tazeem Wa Tauqeer Har Haal Mein Baja Laayein Taaki Shaadi Ke Baad Maa Baap Ke Sath Sath Apne Shohar Aur Unke Maa Baap Aur Deegar Ghar Ke Afraad Ki Tazeem Wa Tauqeer Karke Un Sab Ki Nigaah Mein Apni Qadar Wa Manzilat Hamesha Badhaati Rahein. • Badi Bachchiyan Tamam Kaamo Par Apne Maa Baap Ko Tarjeeh Dein Aur Unke Hukm Ko ALLAH Wa Rasool Ke Hukm Ke Baad Har Hukm Par Muqaddam Jaane Aur Shaadi Ke Baad Apne Shohar Ke Hukm Ko Saare Hukm Par Tarjeeh Dein Taaki Is Aadat Se Maa Baap Ki Aankho Ka Taara Bani Rahein Aur Shaadi Ke Baad Shohar Ke Dil Ki Malka Bani Rahein.

18

Achhi Betiya’n
•

17

• Zubaan Daraazi

Zubaan Daraazi : Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Ghar Mein Apni Maa Aur Bhai Bahno Aur Deegar Logon Se Zubaan Daraazi Hargiz Na Karein Choonki Zubaan Daraazi Tamam Fitno Ki Jad Hai Aur Zubaan Daraazi Se Insaan Aksar Zaleel Wa Ruswa Hota Rahta Hai Aur Yahi Buri Aadat Aksar Bachchiyon Ko Shaadi Ke Baad Shohar Aur Unke Ghar Walo Se Judai Ka Sabab Banti Hai. Yah Khabees Aadat Agar Aap Nahi Chhodti Hain To Talaaq Jaisi Naubat Aa Jati Hai Jo Aap Ki Zindagi Ke Liye Maut Se Badattar Paigaam Laati Hai Fir Bachchiyon Ka Poora Khandaan Aur Uske Shohar Ka Khandaan Maidane Jung Ke Sipaahi Bante Hain Aur Maamla Court Tak Pahunchta Hai, Walidain (Maa Baap) Aur Bhai Jel Tak Ki Musibat Jhelte Hain Aur Zillat Wa Ruswai Donon Khandaan Ka Muqaddar Ban Jata Hai. Lihaza Aap Ki Narm Mizaaji Aur Zubaan Daraazi Na Karna Un Tamam Fitno Ke Darwaaze Ko Hamesha Ke Liye Band Kar Sakta Hai. •

18

• Sakht Mizaaji

Sakht Mizaaji : Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Apni Maa 19

Achhi Betiya’n Ke Sath Aur Ghar Ke Deegar Afraad Ke Sath Sakht Mizaaji Na Dikhaaye, Yah Buri Khaslat Maa Baap Ke Ghar Mein Aur Shaadi Ke Baad Shohar Ke Ghar Mein Unhein Akela Kar Deta Hai. Log Aisi Bachchiyon Se Door Hone Lagte Hain Aur Unke Sehat Ke Liye Bhi Nuqsaan Deh Saabit Hota Hai Aur Husn Ke Nikhaar Ko Bhi Yaksar Khatm Kar Deta Hai.

19

Tambeeh :-

Tambeeh :- Haan! Bachchiyon Ko Is Baat Ka Khyaal Rakhna Chahiye Ki Maa Baap Ki Gair Maujoodgi Mein Apne Ghar Walo Ke Alaawa Doosre Ke Liye Sakht Mizaaji Pesh Karein Aur Shaadi Ke Baad Shohar Ke Ghar Wale Aur Khaas Rishtedaron Ke Alaawa Bazaahir Sakht Mizaaji Zaahir Karein Ki Koi Galat Baat Ya Galat Kaam Ki Ummeed Un Se Na Rakhe Balki Betiyan Apne Maa Baap Aur Shohar Aur Unke Maa Baap Ke Alaawa Doosre Ke Liye Misle Sooraj Ban Kar Rahein Ki Koi Galat Nigaah Se Use Dekhne Ki Himmat Na Kare Aur Uski Haibat (Dar) Se Us Ki Taraf Kisi Gair Ki Nigaah Na Uthe. •

20

• Farmaish

Farmaish : Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Farmaish 20

Achhi Betiya’n Ki Aadat Apne Control Mein Rakhein Balki Na Ke Barabar Apne Andar Aane Dein. Tajarba Hai Ki Maa Baap Uski Zaruraton Ka Khyaal Rakhte Hi Hain, Farmaish Ki Faraawaani Ghar Walo Ki Nigaah Mein Aur Shaadi Ke Baad Shohar Ki Nigaah Mein Be Waqaar Kar Deti Hai Lihaza Beja (Bewajah) Farmaish Se Apne Aapko Mahfooz Rakhein. •

21

• Gussa

Gussa : Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Gussa Kisi Bhi Maamla Mein Hargiz Na Karein Kyunki Ahle Aqal Kahte Hain Ki Gussa Ki Ibtida Aqal Ka Khatm Hona Hai Aur Intiha Hamesha Ki Sharmindagi Par Hai. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Apne Maa Baap Bhai Bahan Ko Chhote Chhote Tohfe Deti Rahein Is Se Maa Baap Ka Dil Khush Hota Hai Aur Is Aadat Ko Apne Andar Barqaraar Rakh Kar Shaadi Ke Baad Apne Shohar Ko Bhi Chhote Chhote Gift Deti Rahein Aur Unke Ghar Ke Afraad Ko Bhi Unke Maraatib Ke Lihaaz Se Aur Apni Haisiyat Ke Aitebaar Se Chhote Chhote Tohfa Deti Rahein Taaki Ghar Walo Mein Uski Muhabbat Aur Izzat Badhti Rahe.

21

Achhi Betiya’n • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Agar Mobile Telephone Wagairah Par Baat Karna Chahein To Maa Baap Ke Khaas Aur Azeez Rishtadaar Ke Sath Baat Cheet Karein Is Se Maa Baap Ko Khushi Hoti Hai Aur Shaadi Ke Baad Unse Baat Karein Jinse Shohar Ba Khushi Izazt Dein, Aur Is Baat Ka Khyaal Rakhein Ki Unke Dosto Se Izazt Ke Bavajood Bhi Hargiz Baat Na Karein Taaki Shohar Ki Nigaah Mein Aap Ka Aitemaad Barqaraar Rahe Aur Aapki Paak Daamni Pe Koi Haasid (Hasad Karne Wala) Ya Aapki Aabroo Ka Koi Dushman Ungli Na Utha Sake.

22

Zaruri Hidayat :-

Zaruri Hidayat :- Qareeb Qareeb Tamam Badi Bachchiyan Mobile Se Uthne Wale Fitno Ko Jaanti Hain Lihaza Aap Apne Aapko Is Fitne Se Kaise Bachayegi Yah Aapke Aqal Wa Daanish Ke Upar Hai, Mera Naaqis Mashwara Yah Hai Ki Mobile Se Apne Aapko Door Rakhein Aur Sirf Zaruratan Istemaal Karein Aur Uske Fitno Par Nigaah Rakhein Aur Sab Se Behtar Yah Hai Ki Apne Mahram (Vah Mard Jisse Nikaah Haraam Hai) Aur Shohar Ke Alaawa Apne Liye Mobile Ka Istemaal Zahare Qaatil Samjhein. 22

Achhi Betiya’n • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Apni Zindagi Ka Koi Bada Faisla Khud Na Karein Balki Maa Baap Se Mil Kar Karein Chahe Vah Unchi Taleem Ka Masla Ho Ya Apni Pasand Na Pasand Ka, Khaas Kar Pasand Ki Shaadi Ka Faisla To Hargiz Na Karein Is Masla Mein Aapko Sahi Mashwara Dene Walo Ki Sakht Zarurat Hoti Hai Aur Yaad Rakhein Aapko Sahi Mashwara Maa Baap Se Badh Kar Koi Nahi De Sakta Is Ki Wajah Yah Hai Ki Aam Taur Par Ladkiyan Jazbaati Hoti Hai Aur Sirf Haal Ko Hi Dekhti Hai Lekin Maa Baap Maazi Wa Haal Ke Sath Sath Mustaqbil Balki Apni Bachchiyon Ki Aane Wali Naslo Ki Achchai Wa Burai Ko Bhi Dekh Rahe Hote Hain. Is Liye Duniya Mein Apne Liye Unka Faisla Sab Se Achcha Samjho Aur Apne Faisle Ke Sath Sath Tamam Hamdardo Ke Faisle Pe Unke Faisla Ko Tarjeeh Do. Insha ALLAH Aap Hamesha Khush Raheingi. Agar Unki Jaanib Se Kuch Kami Beshi Ya Aapke Mizaaj Ke Khilaaf Kuch Ho Bhi Gaya To Unki Dua Ki Barkat Se ALLAH Ta'ala Aapko Aapki Chahat Se Kahi Zyada Ata Farmayega. Is Liye Ki Hadees Paak Hai Maa Baap Ki Dua Aulaad Ke Haq Mein Nabiyon Ki 23

Achhi Betiya’n Dua Ki Tarah Hoti Hai.

23

Tambeeh :-

Tambeeh :- Badi Bachchiyon Ko Sochna Chahiye Ki Vah Chudiya, Dopatta Aur Deegar Saaman Bagair Mashwara Ke Pasand Karne Mein Dhoka Kha Jati Hain, Is Baat Ko Vah Khud Bhi Mahsoos Karti Hain Isi Liye Vah Mashwara Ke Baad Hi Kuch Khareedti Hain, To Apni Zindagi Ka Yah Sab Se Bada Faisla Apne Sab Se Bade Hamdard Ke Mashwara Ke Bagair Hargiz Na Karein. Haan! Maa Baap Aur Doosre Bado Ke Mashwaron Mein Kami Ho To Use Inkaar Ka Mukammal Ikhtiyaar Hai. Aisa Nahi Ki Maa Baap Galat Kahein To Us Faisla Ko Maanna Hoga Balki Islam Ne Aapko Qabool Aur Inkaar Ka Mukammal Ikhtiyaar Diya Hai. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Gaahe Bagaahe Apne Bachpan Ki Baatein Maa Baap Ke Sath Karti Rahe Is Se Maa Baap Ko Khushi Hoti Hai. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Ghar Ka Kaam Khoob Saleeqa Se Karna Apni Maa Se Sikhein. Jaise Khana Banana, Ghar Ki Safai Suthrai, Saaman Ko Saleeqa Se Saja Kar 24

Achhi Betiya’n Rakhna Wagaira Wagaira. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Apni Tamam Saheliyon Ka Ta'aroof (Pahchaan) Apni Maa Se Zarur Karwaye Taaki Maa Aapki Saheliyon Se Mutma'en Rahe. Aur Agar Kisi Mein Buri Khaslat Ho To Us Se Aapko Aagaah Karke Uski Suhbat Se Aapko Bachaye Warna Vah Aapke Mustaqbil Ke Liye Bahut Nuqsaan Deh Saabit Ho Sakti Hai. • Badi Bachchiyon Ka Kabhi Kabhi Ghar Mein Maa Se Baat Bigad Jati Hai To Bachchiyon Ko Chahiye Ki Vah Apni Maa Ko Manayein Aisa Nahi Ki Maa Usko Manayein. Bachchiyan Apne Andar Badlao Laayein Maa Ke Andar Badlao Laane Ki Koshish Na Karein Aur Agar Zarurat Mahsoos Karein To Mauqa Mahal Dekh Kar Adab Aur Muhabbat Ke Sath Pyaar Se Apni Baat Sahi Daleel Ke Sath Unke Saamne Pesh Kar Dein Aur Faisla Unke Zimma Chhod Dein, Unka Faisla Vahi Hoga Jismein Aapki Bhalai Hogi. Insha ALLAH. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Koi Bhi Soorate Haal Ho Apni Maa Se Bolchaal Kabhi Band Na Karein Aur Maa Ki Har Baat Ko 25

Achhi Betiya’n Khaas Tavajjo Se Sune Aur Use Zarur Maanein Aur Bigaad Kisi Bhi Qism Ka Ho Use Fauran Theek Karein Fir Maa Baap Ki Baat Ko Baar Baar Sochein Aur Usmein Apne Liye Bhalai Hi Ka Pahloo Nikaalein Aur Agar Zehan Kuch Faisla Na Kar Sake To Dil Mein Yahi Baat Jamayein Ki Unhone Jo Kaha Hai Usmein Hamara Fayda Hi Fayda Hai Aur Unke Kahne Ke Khilaaf Mein Hamara Nuqsaan Hi Nuqsaan Hai, To Insha ALLAH Kabhi Shaitaan Aap Par Gaalib Nahi Aayega Aur Buri Khaslat Wali Saheliyon Se Bhi Koi Nuqsaan Nahi Pahunchega. Insha ALLAH. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Maamla Khatm Ho Jane Ke Baad Purani Baatein Beech Mein Hargiz Na Laayein Warna Fir Se Doori Badhne Aur Bigaad Janam Lene Ka Imkaan Hai. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Agar Koi Usko Nazar Andaaz Kare To Usko Maaf Karna Seekhein Taaki Maa Baap Ke Yahan Aur Shaadi Ke Baad Shohar Ke Ghar Mein Bigaad Ki Soorat Paida Na Ho. Agar Aapne Maaf Karne Ki Aadat Nahi Sikha Hai To Us Se Hasad Aur Kina Jaisi Muhlik Beemari Aapke Seene 26

Achhi Betiya’n Mein Janam Lene Ka Khatra Hai Fir Chugli Aur Gibat Jaisi Khabees Aadatein Bhi Aa Sakti Hain Fir Aapka Ghar Jahannam Ka Gadha Ban Kar Tabaah Wa Barbaad Ho Jayega. Hadees Mein Hai Behtar Badla Maaf Karna Hai. • Badi Bachchiyon Ko Chahiye Ki Apna Har Maamla Apne Maa Baap Ke Sath Aur Apne Bhai Bahan Aur Shaadi Ke Baad Shohar Aur Unke Ghar Walo Ke Sath Theek Rakhein Aur Kuch Gadbad Ho Jaye To Khud Hi Theek Karein Kisi Teesri Party Ko Beech Mein Na Laayein Ismein Aapki Zindagi Ke Liye Behtari Hi Behtari Hai. • Bachchiyon Ki Parwarish Aur Sahi Tarbiyat Par Hadees Mein Jagah Jagah Jannat Ki Bashaarat Hai. • Bachchiyon Ka Dil Khush Karna Aur Unki Zaruraton Ka Khyaal Rakhna Aur Muhabbat Se Pesh Aakar Zarurat Poori Kar Dena Maa Baap Ke Liye Duniya Mein Muflisi Se Bachne Ka ilaaz Hai Aur Aakhirat Mein Dozakh Ki Aag Se Nijaat Bhi.

24

Naseehat :-

Naseehat :-
Ek Buzurg Bayaan Farmate Hain Ki Mein Ne

27

Achhi Betiya’n Ek Shakhs Ko Masjid Ke Ek Kone Mein Aaah Wa Zaari Ke Sath Gidgida Kar Aajzi Se Ro Ro Kar Dua Karte Dekha. Mein Ne Dua Ke Baad Wajah Maloom Karne Ki Koshish Ki To Usne Bataya Ki Maamla Yah Hai Ki Meri 6 Bachchiyan Hain Fir Meri Beevi Haamila Hai To Mein Ne Apni Beevi Ko Bahut Sakht Sust Kahna Shuru Kiya Aur Baar Baar Dhamkiya Diya Karta Tha Ki Agar Ab Ki Baar Bachchi Hue To Tujhe Maeke Bhej Doonga, To Meine Ek Raat Khwaab Dekha Ki Qiyamat Qaem Hai Mere Aamaal Ke Badle Dozakh Ki Aag Hai, Jab Firishte Mujhe Dozakh Ke Pahle Darwaaze Par Lekar Gaye To Mein Ne Dekha Ki Meri Badi Bachchi Khadi Hai Aur Usne Firishte Se Kaha Ki Mein Iski Bachchi Hoon, Mera Baap Bahut Dushwariyan Utha Kar Meri Parwarish Aur Tarbiyat Ki Lihaza Mein Ise Nahi Le Jaane Doongi. Vahan Se Mujhe Doosre Darwaaze Par Laaya Gaya, Vahan Meri Doosri Bachchi Maujood Thi Fir Isi Tarah Ke Sawaal Wa Jawaab Huye Fir Teesre Chauthe Paanchve Chhathe Darwaaze Pe Chhathi Bachchi Ne Rok Liya Fir Meri Aankh Khul Gae Tab Se Mein Ro Ro Kar Dua Karta Hoon Ki ALLAH Paak 28

Achhi Betiya’n Mujhe Ek Aur Bachchi Ata Kar De Taaki Kal Qiyamat Ke Din Mere Aamaal Agar Kaam Na Aa Sake To In Bachchiyon Ki Wajah Se ALLAH Paak Dozakh Se Nijaat Ata Farmaye.

25

Zaruri Tambeeh :-

Zaruri Tambeeh :- Magar Afsos Sad Afsos Aaj Kal Bete Walo Ki Khubaasat Ki Wajah Se Log Bachchiyon Ki Paidaish Pe Gamgeen Ho Jate Hain. Hamein Bachchiyon Ki Khaatir Gam Na Karna Chahiye Hadees Mein Aaya Hai Ki Jab Kisi Ke Yaha Beta Paida Hota Hai To ALLAH Ta'ala Farmata Hai Ja Apne Baap Ki Madad Kar Aur Jab Kisi Ke Yahan Beti Paida Hoti Hai To ALLAH Ta'ala Farmata Hai Ja Mein Tere Baap Ki Madad Karunga. To Aap Ne Yah Padh Kar Samajh Liya Hoga Ki Bachchiyon Ke Maa Baap Ke Sath ALLAH Ta'ala Ki Madad Hai. Agar Jahez Ke Naam Par Koi Bhikaari Beti Walo Se Bhik Mangta Hai Ya Janwar Samajh Kar Beta Ki Qeemat Vasool Karta Hai To ALLAH Ki Laanat Ka Mustahiq Ho Jata Hai Aur Yah Tajarba Hai Ki Aisa Baap Hamesha Pareshaan Aur Zaleel Wa Khaar Hota Hai.

29

Achhi Betiya’n

26

Shaadi Byaah :-

Shaadi Byaah :- Islam Ne Nikaah Ki Adayegi Mein Jo Qaid Lagaya Hai Vah Sirf Ijaab Wa Qubool Hai. Nikaah Mun'aqid Hone Ke Liye Jo Sharaet Hain Jab Vah Paaye Jaye Uske Baad Ijaab Wa Qubool Ho Jaye Shaadi Ho Gae. Ab ALLAH Ta'ala Ke Pyaare Habeeb ﷺ Ne Jitni Fazeelat Wa Ahmiyat Aur Lavaazimaat Irshad Farmaye Hain Sab Lagoo Ho Gaya. Aaj Kal Yah Jo Dakaito Ki Fauj Lekar Bhooke Bhediye Ki Tarah Beti Walo Ke Yahan Hamla Aawaar Hote Hain Aur Unki Khidmat Ke Liye Beti Wala Jitna Qarz Leta Hai Aur Jis Qadar Unka Dil Dukhta Hai Fir Na Chaah Kar Sirf Beti Ko Khush Dekhne Ke Liye Khoon Ke Aansoo Pi Kar Beta Walo Ke Bad Tameez Baarat Ko Bardasht Karta Hai. Is Se Jis Qadar Beti Walo Ka Dil Dukhega Utne Hi ALLAH Ta'ala Ki Narazgi Ka Sabab Hoga. Fir Mazeed Yah Ki Beta Wala Beti Walo Par Meetha Aur Khubsoorat Zulm Yah Bhi Karta Hai Ki Salaami Ke Naam Par Apne Beta Ka Daam Vasool Karta Hai, Aur Waqt Ka Almiya Yah Ki Us Raqam Ki Adayegi Ke Liye Beti Wala Apni Jaedaad Balki Baaz Auqaat Ghar Tak Sood Ki 30

Achhi Betiya’n Adayegi Mein Laga Deta Hai Aur Baaz Beti Wale Bheek Mang Mang Kar International Bhikaari Bete Wale Ko Rupay Dete Hain Tab Ja Kar Yah Shaadi Karte Hain. Yaad Rakhein Jab Tak Beti Walo Ko Yah Rupay Wapis Kar Ke Maafi Na Mang Le Tab Tak ALLAH Paak Ki Narazgi Hogi Aur Aisi Shaadi Wale Nikaah Ki Barkat Wa Fazeelat Se Bhi Yaksar Mahroom Hi Honge. ALLAH Ta'ala Har Beta Walo Ko Aqle Saleem Ata Farmaye Aur Beta Ke Zariye Duniya Wa Aakhirat Ki Nemat Aur ALLAH Wa Rasool Ki Khushnoodi Kamaane Ki Taufeeq Ata Farmaye, Aameen.

27

Waleema :-

Waleema :- Shaadi Ke Baad Dulha Ke Yahan Waleema Ki Daawat Sunnat Hai. Iski Badi Ahmiyat Wa Fazeelat Hai. Dulha Ko Chahiye Ki Waleema Apni Haisiyat Ke Mutabiq Apne Ghar Kare, Apne Dost Wa Ahbaab Aur Khandaan Wa Rishtedaar Ki Daawat Kare Ki Yah Ek Kaare Sawaab Hai Magar Afsos Aaj Kal Kuch Km Naseeb Dulhe Ka Baap Is Qadar Zaleel Hota Hai Ki Waleema Ka Kharch Bhi Bechare Beti Walo Hi Se Leta Hai Isi Wajah Se Poori Zindagi 31

Achhi Betiya’n Yah Tamam Barkaton Se Mahroom Ho Kar Dar Badar Firta Rahta Hai. ALLAH Ta'ala Hamein Nikaah Ki Barkat Paane Wali Shaadi Ki Taufeeq Ata Farmaye, Aameen.

32

Achhi Betiya’n

۞

May this knowledge bring benefit.

Return to the library ↗